| Ret Par Likh Ke Meraa Naam MiTaayaa Na Karo Mohsin Naqvi |
|
| ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo aa.Nkhe.n sach bolatii hai.n pyaar chupaayaa na karo log har baat kaa afsaana banaa lete hai.n sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo ye zaruurii nahii.n har shaKhs masiihaa hii ho pyaar ke zaKhm amaanat hai.n dikhaayaa na karo shahar-e-ehasaas me.n pattharaav bahut hai.n ’Mohsin’ dil ko shiishe ke jharo.nkho.n me.n sajaayaa na karo |
|
| Post By mmhaqco 3 Years Ago Hits: 304 |


